Safed musli benefit, uses and side effect in hindi urdu

Safed musli special un logo ke liye hai jo kam umar me budhe lagte hai, kamzor dhila dhala badan, jo jaldi thak jate, shadi ke name se bhagte hai, wife ko satisfied nhi kar pate, jaldi saans phulna,  jaldi discharge ho jana, sperm ki kami, full enjoy nhi kar pana aadi problems ke liye safed musli ka upyog aapke liye kargar sabit ho sakta hai. safed musli aapki healthful life ke liye  behad important sabit ho sakti hai. jisse aap fit our happy rahoge our aapki kamzori dur kregi our body ko strong banayegi.




Safed musli vedho ke zere istemaal ek secret tour par rahi hai. We iske benefit ko publicly nhi share karna chahte the parantu ayurveda ke madhyam se medical science ne ayurveda ki badhti popularity se mazboor hokar jab in jadi butiyo par research kiya to science ki duniya me tahlka mach gya hai. Medical Research ke according safed musli Ye ek behad chokane wale our mazedar labh se samarpit hai.

Index

1. Safed musli kya hai?

2. Safed musli ko kaise istemal kre?

3. Safed musli ke kya benefit ho sakte hai

  • Weakness
  • Man problems
  • Weight gain
  • Safed musli our Ashwagandha mix powder benefit
  • Safed musli our kounch beej mix powder benefit


4. Safed musli ke kya side effects ho sakte hai

  • Stomach pain
  • Digestive system
  • Vomiting
  • Diarrhea
  • Nervousness


Safed musli ka istemal kaise kre our safed musli ke kya labh our nuksaan ho sakte hai, safed musli ki warning, dosage our uses in hind urdu me sappurn jankari. Kise safed musli upyog karna chahiye kise nhi karna chahiye iske khatarnaak kya nuksaan ho sakte hai. Aj hum aapko safed musli ki puri jankari batayenge sath aap se request hai is post ko apne dost ke sath share kre. aaye Ab shuru karte hai.

Safed musli kya hai

Ye sabhi jante hai ki safed musli ek jadi buti hai. Lekin aap ye nhi jante honge Safed musli hazaro salo purani ayurveda medicine me istemaal hone wali useful herb he. Jisko sadiyo se vedh dwara use karte aarahe hai. Safed musli ko prachin kal se hi isko best herb ka khitab mil chuka hai. Ye kamzor warg ke logo me shakti, urja, bal, furti our confidence dene ki achuk jadi buti hai. Ye vigyan dwara bhi sidh ki ja chuki hai. 


Medical Science ny jadi butiya our ayurveda ki badhti popularity ko dekhte hue jab jadi butiyo par Research karna shuru kiya to unme se herat angez tour par unke chamatkari labh samne aaye jisme safed musli ke bhi chokane wale fayde sabit hue. Kahna ka matlab yeh ki safed musli medical science ke through verified our qualified hai. Isme naturally behad chokane wale beneficial hai jisne vigyan ko heran kar diya. Aj hum iske officially benefit ki our isko kaise istemaal kre ki baat krenge.

Safed musli ka istemal kaise kre

Safed musli ko istemaal karne se pahle aapko apna digestive system clean karna hoga, agar apka pet saaf nhi, badhazmi ya kisi pachan sambandhit samasya hai to pahle aapko apna pachan kirya ko clean karna hoga kyunki pachan sahih nhi hai to apko iska officially benefit prapt nhi hoga. Ye rules har ayurved medicine, khurak , nushke ya koi takat ke liye li jane wali special supplement par bhi lagu hoti hai.




Safed musli ka upyog aap milk ke sath ya water ke sath kar sakte hai, safed musli ko raat me halke garam dudh ke sath lena behad acha mana jata hai. Safed musli ko niymit our veds, doctor ke anusar hi use kre. Parhej me bazari food nhi khaye, koi bhi nasha nhi kre, jaldi soye our jaldi uth kar niymit exercise kre.

Safed musli ke benefit fayde hindi urdu

Safed musli ek powerful root hai jiska upyog sadiyo se rishi muni dwara kiya jata raha hai. Jiske behad chamatkari labh samne aaye hai. Aaye hum jante hai safed musli ke kya fayde ho sakte hai :-

Kamzori dur hogi 
 
safed musli ke matra upyog se har tarah ki kamzori our shareirik weakness khatam ho jayegi our
  • Bal
  • Urja
  • Shakti
  • Chusti
  • Furti prapt hogi

Mardana takat badhegi

Safed musli ke upyog se mardana power increase hota hai. Agar aap niymit safed musli ko uses karte hai to safed musli ke paryog se  
  • Jaldi discharge hona
  • Nafs ling ka chotapan
  • Sperm ki kami
  • Diabetes problems
  • Saans phulna
  • Stanina aadi samasya dur hogi

Weight gain

Weight badhane ke liye safed musli ko milk ke sath niymit rup se istemal kre. Safed musli ke matra upyog se 
  • Waight badhega
  • Bhukh lagegi
  • Muscle
  • Biceps
  • Bodybuilding aadi me fayda hoga

safed musli our Ashwagandha mixture powder

Ashwagandha ke sath agar safed musli ka powder istemaal kiya jaye to har tarah ki kamzori, namardi ke sath tension our depression ko bhi jad se khatam ho jayegi. Good sleep our good morning ke liye safed musli our Ashwagandha ka mixture powder best sabit hoga. Ashwagandha ki adhik jankari ke liye padhe Ashwagandha benefit in hindi urdu

Safed musli our Kounch beej mixture powder
Safed musli ke sath kounch ke beej ka mix powder ke benefit same hai yani mardana takat, shareerik takat double ho jayegi. Safed musli our kounch In dono jadi buti ki specialist hai sexual power our will power increase karna. Ye dono un thake hare nojawano ke liye hai jo apni wife ko satisfied nhi kar pate, bhari jawani me bhi budhe lagte hai. Kounch ke beej ki adhik jankari ke liye padhe. Kounch ke beej benefit in hindi urdu

Safed musli ke kya side effects ho sakte hai

Swet musli ke abhi tak koi bada side effects research our mere experience me nhi aaya hai. Lekin kuch side effects ho sakte hai balqi hue hai, agar aap swet musli ko dhyan our savdhani baratenge istemaal ke douran aapko  kisi prakar koi nuksaan nhi hoga. Safed musli ke kya side effects ho sakte hai ;-

Stomach pain 
Swet musli ka jayda use aapke pet me dard ho sakta hai, special wo log jinka pachan kamzor hai. Unhe jaldi koi chinj pachti nhi. Swet musli un logo ko stomach pain ka karan ban sakta hai. Isliye aapko advice di jati hai aap doctors anusar use kre.

Digestive system 
Safed musli ka jayda istemaal kabhi nhi karna chahiye kyunki jayda istemal pachan kirya aapki bigad sakti. Kisi bhi jadi buti ya supplement ka jayda use karne par ye niyam lagu hota hai aapko swet musli ya kisi bhi ayurveda products ko niymit rup our vedh ya doctor ke anusar hi use kre.

Vomiting 
Jinko vomit problems hai unko special cared rakhna hoga kyunki swet musli ke jayda use se ulti hona aam samasya hai. Ulti hone ke kaee reason ho sakte hai jese safed muslit ka taste behad kadwa our acha nhi hai ya phir safed musli.ka powder jo consume hone me time lagata hai. 

Diarrhea 
Safed musli ka ek chota side effects me ye bhi hai ki agar kabhi swet musli jayda matra me istemal ki jaye  to dast ki problems ho sakti hai. Ye only 2% logo ke sath hota hai. Isliye apko advice di jati hai ki isy punah rup se sukshit vedh our doctor anusaar use behtar hai. jinka digestive system kamzor hai unko hi ye problems hoti hai.

Nervousness 
Kabhi kabhi raat ko istemaal karne se agar pachan sahih nhi ho paya to ghabrahat ho sakti hai. Kyu be chaini our ghabrahat ye weakness stomach our digestive clean nhi hone par bhi nirbhar karta hai. Isliye humbe ye advice pahle hi ki aapko swet musli kaise use kre ? Usme humne bataya hai ki pahle apna pachan digestive clean karle.

Disclaimer : Wese inme se koi bada side effects nhi hai our permanent per person bhi nhi parantu ayurveda ke side effects der se bhi ubhar sakte hai. Aapko kisi prakar ki bhi samasya hai to aap safed musli ka istemaal purv doctor se contact kre. Aapko ghabrane ki jarurat nhi ye side effects weakness stomach our digestive system par nirbhar hai agar ap young hai body growth ke liye istemal karna chahTe to koi dikkat nhi humse advice lekar swet safed musli powder shuru kar kar sakte hai.

Ashwagandha :  completely jankari, unknown fact, Medical Research, uses, benefit our side effects in hindi urdu
Ashwagandha : Agar aap pareshan hai, depression ka shikar hai, nind nhi aati, koi weakness hai, ya sex kamzori hai, weight gain nhi hota, bhukh nhi lagti to aap sahih jagah par ho our Ashwagandha aapke liye best choice ho sakti hai. Ashwagandha me dimag ko shant karne ke aushadi gun hai jisse dimag achi tarah se work karta for example Good idea, good thinking our positive energy boost hoti hai. Ashwagandha body ko mazboot banata hai our 100 ghode jesi shakti pradan karta hai. Aj hum Ashwagandha ke chokane wale benefit our fact batane wale hai, jo shayad aapne kahi nhi sune honge.



Ashwagandha (withania somnifera) world ki subse popular jadi buti (herb) hai. Prachin  Kal (ancient time) se hi chini our bharti medicine me kayakalp our rasayan ke rup me use hota raha hai. Ashwagandha ke badhti popularity ko dekhte hue aj ke yug me jab medical science ne is par Research kiya to behad chokane wale results samne aaye. Jo hum aapko pure explains ke sath batayenge, post ko pura padhe our apne friends our family ke sath whatsapp par share kre.


Index



1.) Ashwagandha kya hai in hindi urdu?

Ashwagandha ek natural gift
Ashwagandha Asian herbs
Ashwagandha powerful root


2.) Ashwagandha for testosterone and sexual power in hindi urdu

Bodybuilding
Testosterone increase
Good sleep
Free Tension,
free depression
Sexual power increase


3.) Ashwagandha for weight loss and weight gain in hindi urdu

Weight loss
Weight gain


4.) 6 best benefit of Ashwagandha in hindi urdu

5.) 3 Side effect of Ashwagandha in hindi urdu

6.) Ashwagandha uses in hindi urdu

7.) Ashwagandha parhej our savdhani

Hum aapko Ashwagandha ki sappurn jankari batayenge Ashwagandha kya hai kaise uses kre iske kya benefit our side effect ho sakte hai. Chaliye shuru karte hai.


Ashwagandha kya hai ?



Ashwagandha (withania somnifera) ek useful our popular jadi buti hai jo hazaro salo se rishi muni our ved hakim ke zere istemaal rahi hai. Jinke natural benefit our quality se ved hakim achi tarah se waqif the parantu science ke is dour me Ashwagandha ke secret benefit our parichay se sabhi awam janta bhi achi tarah se waqif  ho gaye our  iske natural benefit our quality ko dekhte hue videshi behad impress hue our iske labh utha rahe hai. Asha karta hu Is article ke baad aap bhi fayda jaroor utha rahe honge.

Ashwagandha ek natural gift hai jiske itne fayde hai me ispar ek puri kitab likh sakta hu, is jadi buti ko rishi muni ny ghode se tabeer kiya yani Ashwagandha ko jo niymit permanently use karte hai unhe ghode jesi athwa ghode se bhi badh kar shakti, bal our urja prapt hoti hai.



Ashwagandha Asia me sabse jayda uses hone wali our famous jadi buti me se ek hai iska paryog ayurved medicine, kayakalp our rasayan aadi me use hota hai.  Ashwagandha behad labhdayak our mahatvapurn jadi buti hai. Jiske aushadi labh bhi behad adhik hai. Jo aj ke is yug me herb ke madhyam se best health pane ka asan natural uphaar hai.

Ashwagandha powerful root hai jiske matra sevan se shareer ki har samasya ka samadhan hota hai our sath me ye lambe samay tak chalne wale labh pradhan karti hai. Agar aap pure Ashwagandha chahte hai to ye Original organic Ashwagandha capsule hai jo high quality our natural capsules ke rup me uplabhd hai. Jisee aap amazon se buy bhi kar sakte hai.



Ashwagandha for testosterone and sexual power in hindi urdu


Ashwagandha : jese ke humne bataya Ashwagandha ki badhti popularity ko dekhte hue jab vigyan dwara is par medical research hui to iske behad se labh our natural quality samne aayi jisme sabse jayda chokane wala ye tha ki Ashwagandha me cancer jesi khatarnaak bimari se ladhne ki natural quality our sharmata mouzud hai.

Jo bodybuilding karte hai hamare nojawan body ko growth, biceps gain, muscle banane ke liye har mumkin koshish karte hai. Wo protein supplement our testosterone boost supplement dhundh te rahte hai to unke rochak our khushi ke liye bata du, Ashwagandha testosterone boost karti hai with proof bhi aage bataunga.

Testosterone : jinko nhi pata testosterone kya hai our ye male body ke liye kitna important hai unki khidmat me arz hai testosterone basically ek Harmon hai. special male Harmon hai jo aadmi ki chal dhal, awaz, body language ko female se alag convert karta hai mard ko mukammal mard banata hai. Male body ke special part jese biceps our muscle ko yahi Harmon badhata hai.

Isliye hamare nojawan testosterone boost karne ke liye behad si medicine, tablet supplement ka use kar rahai hai jo harmful ho sakta hai. Testosterone ko increase karna sirf gym ke liye hi nhi balqi married man ke liye bhi most important hai.

Testosterone sexual power bhi increase karta hai yani kah sakte hai ye ek bachche paida karne ka sabse important Harmon hai ya bachche paida karne ka Harmon kuch kahe ek hi baat hai.

Ashwagandha me cartisol namak Harmon ko increase karne ki sharmta hai jisse good sleep yani achi , behtar nind aati hai jiske karan mind shant ho jata hai our ye sabhi jante hai jab hum tension, depression se free mind rakhte hai our achi neend nikalte hai to hamara shareer naturally testosterone ko produce karta hai. Jab testosterone boost hoga our uska levels high jayega , jhaheer si baat hai body bhi growth hogi, muscle our biceps bhi gain honge sath me sexual life ki journey bhi badhegi our saweregi.

Ashwagandha me basically testosterone Harmon direct produce karne ki quality nhi hai parantu in direct jab Ashwagandha ka istemaal se cartisol namak harmon hamary body ko release karta hai , mind ko shant rakhta hai jisse manseek system thanda hota hai to medical science ke according ek free mind, free depression our free tension aadmi me naturally testosterone boost karne ki natural processes body me janam leti hai. Agar aap tension, depression our nind ki kami ke karan unhealthy hai , wife ko satisfied nhi kar pa rahe ho our sexual power me bhi dam kham nhi hai to Ashwagandha aapke liye best choice ho sakta hai.


Ashwagandha for weight loss and weight gain in hindi urdu



Patle duble wo insaan jo khana behad khate hai our shath me bazari protein powder supplement, body gain capsule na jaane kya kya use karte hai parantu phir bhi unka weight gain nhi hota hai. Iske kahi karan ho sakte hai for example digestive system sahih nhi, compelet neend nhi nikalna, kaam ka loud aadi jisse karan shareer me behad jayda energy use hoti hai jitna hum daily food me consume nhi kar pate. Phir jhaheer si baat hai body nhi growth hogi balqe gym me workout karne se body parts our jayda demagogue hone ka khatra rahta hai.

Esy nojawan ladka ladki jinka weight hi nhi hai jo body gain nhi kar parahe hai. We niymit food, sleep, workout ke sath Ashwagandha ka istemaal kre. 

Ashwagandha yakinan weight badhane me kargar sabit ho rahi hai, Ashwagandha me esy reshe hai jo aapki body ko bharpur energy pradan karti hai.

Weight loss jinka weight jayda hai our wo Ashwagandha ka labh uthana chahte hai to Ashwagandha unke liye bhi apne darwaze kholta hai, we log bhi Ashwagandha ka upyog kar sakte hai. Kyunki Ashwagandha me weight ko niyantan yani bandh rakhne ki bhi quality hai agar aap Ashwagandha ko use karte hai our aapka weight kafi hai to ye aapke weigh loss hone me bhi madad karega sath me weight badhne bhi nhi dega. Yaad rakhe weight gain ke liye Ashwagandha milk k sath use kre our weight loss ke liye water ke sath karna behtar hoga by the way milk ke sath bhi kar sakte hai.


6 best benefit of Ashwagandha in hindi urdu



Ashvagandha ek hai ek chamatkari jadi buti (herb) hai, World ki subse popular jadi buti Ke sath Ayurveda me sabse jayda use hone wali herb hai. Aj aj kal india ke sath world me chahe Asia, Europe isy janne wa pahchanne laga hua hai. Medical science me bhi ispar research karne ki ek alag ruchi dekhne ko mil rahi hai. Wese Ashwagandha ke unlimited benefit hai jiska vistar mumkeen nhi hai but hum kuch mukhtasar benefit of Ashwagandha par apni kalam naseer karenge , As he a Ashwagandha khane ke kya kya labh ho sakte hai :



1.) Ashwagandha cancer se ladhta hai

Ashwagandha me cancer se ladhne ki sharmata hai, hal ke research ke anusaar Ashwagandha cancer jeai ghatak , khatarnaaq bimari ke liye bhi labh dayak hai. Agar aap Ashwagandha our cancer par articles padhna chahte hai with reference , proof ke sath to comment kre.

2.) Ashwagandha our sex drive

Ashwagandha sexual power ko increase karne ki hazaro salo ki ek ayurveda tonic hai. Ashwagandha sex drive ko behtar banati hai our acha parinaam deti hai. Aap Ashwagandha ko sex timing our best performance ke liye bhi use kar sakte ho. Note : Ashwagandha me ye natural quality hai sexual power ki but ye jadi buti sexual power ke liye specialist me nhi aati. Agar aap sex specialist jadi buti ki talash me hai to ye jadi buti aapke liye best choice ho sakti hai.

3.) Ashwagandha our high blood pressure

High blood pressure ek ghatak results ho sakta hai hamari health ke the end me. Blood pressure ko niyantan yani normal rakhna most important hai. Ashwagandha me body ko sahih se work karne ki sharmata hai ye dimag our mastik ko thanda rakhta hai our sath me blood pressure ko bhi normal rakhne ki bharpoor koshish karta hai. Jisse hamara shareer thik se work karta hai our blood pressure bhi normal ho jata hai.

4.) Ashwagandha our depression ka ilaj

Is aadhunik jeewan me depression hi mul problems hai jo husband wife ke santusht our sukhi jeewan ko puri tarah barbaad kar raha hai. 

Ashwagandha ka most important work depression ko khatam karta hai, agar depression level jab high hota hai to insan puri tarah se tut jata hai our manseek, shareerik our yon kamzori ka aarthik rup se shikar ho jata hai.

5.) Madhumeh (diabetes) our Ashwagandha

Diabetes jise aam tor par sugar kaha jata hai, meri nazar me bohat dangerous bimari hai, ek esy bimari jo married life ko puri tarah ukhad deti hai. Ek murda jism ki tarah shareer kam karta hai, kidney par bhi bad effects padhta hai. 

Ashwagandha properly to diabetes ko khatam nhi kar pati but diabetes ko control karne ki sharmata rakhti hai. Filhal abhi research jari hai ispar ke Ashwagandha kitna diabetes ke liye benefit pradan kar sakti hai.

6.) Ashwagandha for cholesterol

New medical research ke anusaar Ashwagandha cholesterol ko kam karne ke liye bhi work karti hai parantu heart patients ko Ashwagandha doctors ki advice ke bina nhi use karna chahiye.


Cholesterol hamary life ke liye behad khatarnak sabit ho sakta hai, jo Ashwagandha ke nirmit sevan se kam hone ki sambhavna hoti hai.3 Side effect of Ashwagandha in hindi urdu




3 Side effect of Ashwagandha in hindi urdu



Ashwagandha ke shaktishaali powerful benefit behad jayda hai jise sadiyo se rishi muni jante our istemaal karte aa rahe hai, parantu new era ki models duniya ny jab ancient times ki aadhunik history, painting, lifestyle, shahro saman our places par interest lena shuru kiya to phir ayurveda kaha chupa hota. Jese jese logo ny ayurvedic treatment ki taraf rujhu kiya medical science ny public ke interest ko dekhte hue Research ki jaha behad chokane wale results bhi samne aaye jisme benefit our side effects shamil hai.

Ji haa, Ashwagandha ke jaha behad labh our unlimited naturally qualified hai wahi iske side effects bhi ho sakte hai but Research ke according anhi tak koi bada side effects Ashwagandha ka saamne nhi aaya hai. Aam tor par kuch side effects ho sakte hai jise hume aapko batana jaroori hai. Ashwagandha ke kya side effects ho sakte hai ;

1.) Ashwagandha our digestive system

Ashwagandha ka jayda istemaal aapki pachan kirya yani digestive system ko puri tarah kharab kar sakta hai. Digestive system kharab hone ke sath pet me dard, ulti aana ya phir bhukh nhi lagna aadi samasya ka samna ho sakta hai.

2.) Ashwagandha our night fail

Unmarried agar raat ko Ashwagandha with milk use karta hai to night fail hone puri sambhavna hoti hai. But jinki pracan kirya digestive system mazboot hota hai unhe night nhi hota ya behad kam hota hai.

3.) Ashwagandha for heart patients

Ashwagandha ko heart patients doctors ki advice ke bina hargeez use ngi karna chahiye. Ashwagandha cholesterol ko control kar sakta hai lekin Ashwagandha me behad se esy madde our zarrat mouzud hai jo heart ke liye adhik matra ne thik nhi hai.


Ashwagandha uses in hindi urdu



Ashwagandha ko behtar yahi hai istemaal karne ka tarika ke Ashwagandha ko sone se 1 ghante pahle halke garam dudh ke sath use kre, water ke sath bhi istemaal kar sakte hai but milk ke sath our we bhi garam dudh ke sath to officially benefit badh jate hai mera personal experience hai but un logo ko thora sambhalna hoga jinhe night fail behad adhik hota hai , ya unka digestive system behad kamzor hai unke liye Ashwagandha water ke sath acha rahega our wo bhi subah istemaal kre.


Ashwagandha ke kya parhej hai



Ashwagandha use karte time aapko kya parhej our savdhani rakhni chahiye isy dhyan our in bato par amal kre taki Ashwagandha se pura fayda utha sake. Ashwagandha ya kisi bhi ayurvedic treatment ke douran in baato ka rakhe parhej :-


  • bazari junk food nhi khana chahiye,


  • Ashwagandha lene se pahle digestive clean hona chahiye


  • Ashwagandha parhej me sharab, nasha, sigret nhi use karna chahiye.

Dosto, humne Ashwagandha ki completely jankari provides karne ki kpshish ki hai agar aapko ye post achi lagi ho to isy apne dosto, family ke sath social media whatsapp our Facebook par jaroor share kre. Thanks