Safed musli benefit, uses and side effect in hindi urdu


Safed musli special un logo ke liye hai jo kam umar me budhe lagte hai, kamzor dhila dhala badan, jo jaldi thak jate, shadi ke name se bhagte hai, wife ko satisfied nhi kar pate, jaldi saans phulna,  jaldi discharge ho jana, sperm ki kami, full enjoy nhi kar pana aadi problems ke liye safed musli ka upyog aapke liye kargar sabit ho sakta hai. safed musli aapki healthful life ke liye  behad important sabit ho sakti hai. jisse aap fit our happy rahoge our aapki kamzori dur kregi our body ko strong banayegi.




Safed musli vedho ke zere istemaal ek secret tour par rahi hai. We iske benefit ko publicly nhi share karna chahte the parantu ayurveda ke madhyam se medical science ne ayurveda ki badhti popularity se mazboor hokar jab in jadi butiyo par research kiya to science ki duniya me tahlka mach gya hai. Medical Research ke according safed musli Ye ek behad chokane wale our mazedar labh se samarpit hai.

Index

1. Safed musli kya hai?

2. Safed musli ko kaise istemal kre?

3. Safed musli ke kya benefit ho sakte hai

  • Weakness
  • Man problems
  • Weight gain
  • Safed musli our Ashwagandha mix powder benefit
  • Safed musli our kounch beej mix powder benefit


4. Safed musli ke kya side effects ho sakte hai

  • Stomach pain
  • Digestive system
  • Vomiting
  • Diarrhea
  • Nervousness


Safed musli ka istemal kaise kre our safed musli ke kya labh our nuksaan ho sakte hai, safed musli ki warning, dosage our uses in hind urdu me sappurn jankari. Kise safed musli upyog karna chahiye kise nhi karna chahiye iske khatarnaak kya nuksaan ho sakte hai. Aj hum aapko safed musli ki puri jankari batayenge sath aap se request hai is post ko apne dost ke sath share kre. aaye Ab shuru karte hai.

Safed musli kya hai

Ye sabhi jante hai ki safed musli ek jadi buti hai. Lekin aap ye nhi jante honge Safed musli hazaro salo purani ayurveda medicine me istemaal hone wali useful herb he. Jisko sadiyo se vedh dwara use karte aarahe hai. Safed musli ko prachin kal se hi isko best herb ka khitab mil chuka hai. Ye kamzor warg ke logo me shakti, urja, bal, furti our confidence dene ki achuk jadi buti hai. Ye vigyan dwara bhi sidh ki ja chuki hai. 


Medical Science ny jadi butiya our ayurveda ki badhti popularity ko dekhte hue jab jadi butiyo par Research karna shuru kiya to unme se herat angez tour par unke chamatkari labh samne aaye jisme safed musli ke bhi chokane wale fayde sabit hue. Kahna ka matlab yeh ki safed musli medical science ke through verified our qualified hai. Isme naturally behad chokane wale beneficial hai jisne vigyan ko heran kar diya. Aj hum iske officially benefit ki our isko kaise istemaal kre ki baat krenge.

Safed musli ka istemal kaise kre

Safed musli ko istemaal karne se pahle aapko apna digestive system clean karna hoga, agar apka pet saaf nhi, badhazmi ya kisi pachan sambandhit samasya hai to pahle aapko apna pachan kirya ko clean karna hoga kyunki pachan sahih nhi hai to apko iska officially benefit prapt nhi hoga. Ye rules har ayurved medicine, khurak , nushke ya koi takat ke liye li jane wali special supplement par bhi lagu hoti hai.




Safed musli ka upyog aap milk ke sath ya water ke sath kar sakte hai, safed musli ko raat me halke garam dudh ke sath lena behad acha mana jata hai. Safed musli ko niymit our veds, doctor ke anusar hi use kre. Parhej me bazari food nhi khaye, koi bhi nasha nhi kre, jaldi soye our jaldi uth kar niymit exercise kre.

Safed musli ke benefit fayde hindi urdu

Safed musli ek powerful root hai jiska upyog sadiyo se rishi muni dwara kiya jata raha hai. Jiske behad chamatkari labh samne aaye hai. Aaye hum jante hai safed musli ke kya fayde ho sakte hai :-

Kamzori dur hogi 
 
safed musli ke matra upyog se har tarah ki kamzori our shareirik weakness khatam ho jayegi our
  • Bal
  • Urja
  • Shakti
  • Chusti
  • Furti prapt hogi

Mardana takat badhegi

Safed musli ke upyog se mardana power increase hota hai. Agar aap niymit safed musli ko uses karte hai to safed musli ke paryog se  
  • Jaldi discharge hona
  • Nafs ling ka chotapan
  • Sperm ki kami
  • Diabetes problems
  • Saans phulna
  • Stanina aadi samasya dur hogi

Weight gain

Weight badhane ke liye safed musli ko milk ke sath niymit rup se istemal kre. Safed musli ke matra upyog se 
  • Waight badhega
  • Bhukh lagegi
  • Muscle
  • Biceps
  • Bodybuilding aadi me fayda hoga

safed musli our Ashwagandha mixture powder

Ashwagandha ke sath agar safed musli ka powder istemaal kiya jaye to har tarah ki kamzori, namardi ke sath tension our depression ko bhi jad se khatam ho jayegi. Good sleep our good morning ke liye safed musli our Ashwagandha ka mixture powder best sabit hoga. Ashwagandha ki adhik jankari ke liye padhe Ashwagandha benefit in hindi urdu

Safed musli our Kounch beej mixture powder
Safed musli ke sath kounch ke beej ka mix powder ke benefit same hai yani mardana takat, shareerik takat double ho jayegi. Safed musli our kounch In dono jadi buti ki specialist hai sexual power our will power increase karna. Ye dono un thake hare nojawano ke liye hai jo apni wife ko satisfied nhi kar pate, bhari jawani me bhi budhe lagte hai. Kounch ke beej ki adhik jankari ke liye padhe. Kounch ke beej benefit in hindi urdu

Safed musli ke kya side effects ho sakte hai

Swet musli ke abhi tak koi bada side effects research our mere experience me nhi aaya hai. Lekin kuch side effects ho sakte hai balqi hue hai, agar aap swet musli ko dhyan our savdhani baratenge istemaal ke douran aapko  kisi prakar koi nuksaan nhi hoga. Safed musli ke kya side effects ho sakte hai ;-

Stomach pain 
Swet musli ka jayda use aapke pet me dard ho sakta hai, special wo log jinka pachan kamzor hai. Unhe jaldi koi chinj pachti nhi. Swet musli un logo ko stomach pain ka karan ban sakta hai. Isliye aapko advice di jati hai aap doctors anusar use kre.

Digestive system 
Safed musli ka jayda istemaal kabhi nhi karna chahiye kyunki jayda istemal pachan kirya aapki bigad sakti. Kisi bhi jadi buti ya supplement ka jayda use karne par ye niyam lagu hota hai aapko swet musli ya kisi bhi ayurveda products ko niymit rup our vedh ya doctor ke anusar hi use kre.

Vomiting 
Jinko vomit problems hai unko special cared rakhna hoga kyunki swet musli ke jayda use se ulti hona aam samasya hai. Ulti hone ke kaee reason ho sakte hai jese safed muslit ka taste behad kadwa our acha nhi hai ya phir safed musli.ka powder jo consume hone me time lagata hai. 

Diarrhea 
Safed musli ka ek chota side effects me ye bhi hai ki agar kabhi swet musli jayda matra me istemal ki jaye  to dast ki problems ho sakti hai. Ye only 2% logo ke sath hota hai. Isliye apko advice di jati hai ki isy punah rup se sukshit vedh our doctor anusaar use behtar hai. jinka digestive system kamzor hai unko hi ye problems hoti hai.

Nervousness 
Kabhi kabhi raat ko istemaal karne se agar pachan sahih nhi ho paya to ghabrahat ho sakti hai. Kyu be chaini our ghabrahat ye weakness stomach our digestive clean nhi hone par bhi nirbhar karta hai. Isliye humbe ye advice pahle hi ki aapko swet musli kaise use kre ? Usme humne bataya hai ki pahle apna pachan digestive clean karle.

Disclaimer : Wese inme se koi bada side effects nhi hai our permanent per person bhi nhi parantu ayurveda ke side effects der se bhi ubhar sakte hai. Aapko kisi prakar ki bhi samasya hai to aap safed musli ka istemaal purv doctor se contact kre. Aapko ghabrane ki jarurat nhi ye side effects weakness stomach our digestive system par nirbhar hai agar ap young hai body growth ke liye istemal karna chahTe to koi dikkat nhi humse advice lekar swet safed musli powder shuru kar kar sakte hai.

0 comments: